Archive for January, 2010

Spiritual Alarm/Rohaani Alarm

Ik bohat mazeedar aur mujrib amal agar appko subho kisi khas waqqat per uthna ho tu soney sey pehley buland awaaz main apna naam le kar kahain k mujhey Falan waqqat per jaga dena app ka rohaani jisam/Spiritual Body app ko us waqqat utha dega.

Popularity: 37% [?]

January 26, 2010 Post Under Miyan Sahab's Articles - Read More

Imtehan mai Kamyabi (Success In Examination)

Imtehan main kamyaabi k liye mundarja zail amal karain aur Allah ki bargah main porey dil sey dua karain Insha Allah kamyaabi app k qadam chomey gi.

BishmiAllah Shareef 1 dafa
Darood Shareef 11 times
Ism-e-Allah “Almalik Ul Qodoos” 300 times
Darood Shareef 11 times

Yeh Amal result/nateeja anney tak jaari rakhain

Popularity: 51% [?]

January 26, 2010 Post Under General Wazaifs - Read More

Qaraz Sey Nijaat Ka Aamal (to get rid of loan/mortage)

Rozana 90 days tak Esha ki namaz k baad mundarja zail amal karain Insha Allah ghaib sey qaraz ka bandobast hoga.

1 dafa BismilAllah Shareef
1 dafa Darood Shareef
1000 ism-e-Allah “Ya Fataho”
1 dafa Darood Shareef

Amal kartey waqat apni hajaat dehaan main rakhain aur phir baat kiye bina so jain yaad rahey amal 90 roz tak karna hey nagha na karain warna sara amal baykaar ho jayega aur phir sey karna parey ga.

Popularity: 36% [?]

January 26, 2010 Post Under General Wazaifs - Read More
Page 1 of 41234
Content Protected Using Blog Protector By: PcDrome.